Tuesday, May 17, 2011

Hai Sakina Hai Sakina

Is baat se mehsoos karo kia hai Sakina (A.S)
Abbas (A.S) ke honton Ka Qaseeda hai Sakina (A.S)

Aaina-e-Zehra (A.S) mein jo dekha tera bachpan
Har aks pukara ke tu Zehra hai Sakina(A.S)

Jo pyas ke parcham ki Alamdar hai ab tak
Abbas(A.S) ki woh pyari Sakina hai Sakina (A.S)

Abbas(A.S) ki Nazron se koi parh ke tau dekhay
Ehsaas ki ek Nehj-e-Balagha hai Sakina(A.S)

Jo Mashq mein bhar sakta hai dunya ke samandar
Kaunain mein bas woh tera saqqa hai Sakina(A.S)

Har Umr ke Haider ne jhulaya tera Jhoola
Yeh auj faqat tu ne hi paya hai Sakina (A.S)

I am on Flickr Instagram You Tube