Chest Piercing
Originally uploaded by firoze shakir photographerno1
This is Farukh Rafaee piercing the rod into his chest that will ultimately come out from the other end at the back..
about 350 pictures on this subject at my flickr photostream..
I am street photographer a beggar poet .. I shoot misery cavorting with hope I shoot original content. I am Shia Sufi Hindu all in One
This is Farukh Rafaee piercing the rod into his chest that will ultimately come out from the other end at the back..
about 350 pictures on this subject at my flickr photostream..
This is Farukh Rafaee piercing the rod into his chest that will ultimately come out from the other end at the back..
about 350 pictures on this subject at my flickr photostream..
This is Farukh Rafaee piercing the rod into his chest that will ultimately come out from the other end at the back..
about 350 pictures on this subject at my flickr photostream..
I recieved this article from my dear friend Jalal Kazim from Lucknow relation of the Lion of Lucknow Agha Roohi..
I post it here so it can be read by all..its in Urdu..
Hussain(a.s.) “Muhafiz-e-Islam hi Nahi Muhafiz-e-Insaaniyat Bhi Hai”
Nizame Qudrat ke raaz samajhna insaan ke bas ke bahar hai. Khilqate Kaenaat aur Insaani khilqat ke saath hi is Jahan ki tareekh mein Hazaron Tahzeebein aur waqeyaat hote rahe aur hote hi rahenge. Insaan ne apni aql ke hisaab se waqt dar waqt apni Tahzeebon ko janm diya. Aaj hamare saamne kai tarah ke falsafe aur tareekhein hain jinko padhne aur samajhne ke baad hum is Duniya ki tareekh ko ek koshish hi bhar samajh sakte hain. Allah ne Qoran mein is Kaenat ki khilqat ke kai raazon par se parda uthaya hai. Qoran mein Adam se le kar Sarkar-e-Do Alam (sawaw) tak ke tamam waqeyaat aur Tahzeebon ka zikr hai. Aur Insaani zindagi ko ek behtareen tareeqe se guzarne ka Paigham diya hai Jo Ki Mazhabe Islam hai. Yaani Qoran Insaani Zindagi ko Behtareen tareeqe se jeene ka ek Raasta dikhata hai aur yahi Raasta Asl Mazhab-e-Islam hai. Lekin Aaaj Musalman Ya Islam ka Naam sunte hi kisi Ghaer Muslim ya mukhtalif Mazhab aur Tahzeeb ke logon ke zehan mein jo tasweer ubharti hai wo ya to Kisi Dahshat gard ki ya Jung, Khunrezi, Dhamake, Aghwa, qatl tanaze ke alawa shayed hi koi aur shae ho. Iska Zimmedaar kaun hai? Iske zimmedaar khud Muslaman hain. Jinhone duniya ke saamne sacchhe aur Allah ke nek logon ko apna Ideal banane ke bajaye Hamlawar, Zalim aur Ghasib Badshahon ko Islam ka peshwa aur rahnuma banakar pesh kiya. Inhone Rasool (sawaw) ki rehlat ke baad bajaye unke paigham pe amal karne ke unhi ke gharwaalon pe mazalim shuru kar diye aur Iqtedaar aur Mulukiyat ki hawas mein pad gaye. Ye mazalim Khud Hazrat Ali a.s. se shuru karke unki Aulad aur baad mein Shian-e-Ali as pe kiye jaate rahe aur musalsal ho rahe hain. Agar Musalmaan isse gurez karte aur Paigham-e-Rasool sawaw aur Aale Rasool a.s. ko duniya ke saamne pesh karte to aaj Islam ke naam pe ye khauf-o-heras na hota. Na jaane kya daur aa gaya hai. Is Azem mazhab ki tableegh mein jo qurbaaniya dee gayein kya wo isi din ke liye theein? Aaj Qoran ki tasweer Klashinkov Riffles ke darmiyaan nashr ki ja rahi hai. Khana-e-Kaaba ko Intehapasand tanzeemein apni Nishan ki shakl mein dikha rahi hain. Allah ka Naam lekar logon ke sar qalam kiye ja rahe hain. Kya naamnehaad Muslaman ye sab karke Islam ka sahi maqsad hasil kar payenge? Kya isse Islam ki Tableegh hogi? Nahi Bilkul nahi. Isse manfi asaraat paida ho rahe hain. Aaj zarurat ye hai ki duniya ko Islam ki asl tasweer dikhai jaye. Ek bahot bade mission ki zaroorat hai. Aur ye kaam wahi Sachcha Musalmaan kar sakta hai jiske dil mein deen ke liye Mohabbat ho. Duniya ke saamne Islam ki sachchi tasweer pesh karna hogi. Duniya ko batana hoga ki Islam Zulm ka Mazhab nahi hai Balki Islam Sabr aur Qurbani ka mazhab hai. Aaj ke naam nehad Muslamaan Laden aur Saddam jaise Dahshat gardon ko apna Ideal bana kar jab duniya ke saamne pesh karenge to Islam ki kya tasweer duniya ke saamne jayegi. Zarorat hai Tareekh-e-Islam ke Aise Kirdaar saamne lane ki jinki Zindagi se Duniya ke har fard, har mazhab, har ilaaqe, har firqe aur har umr ke logon ko paigham diya ja sake. Aur is tarah ke Kirdaar Siwaye Kerbala ke aur kahin nahi milte. Kerbala Mein Imam Hussain as. Aur unke saathiyon ne har Umr aur Taqreeban har goshe ke Insaano ki numaindagi ki aur ek paigham diya. Kerbala ek mukammal canvas hai jisse ta qayamat har Insaan apne liye paigham hasil kar sakta hai. Insaniyat ka Paigham, Sabr ka Paigham, Bhaichaare ka paigham, eesaar ka paigham, Qurbaani ka paighaam, Sach ka paigham, Bahaduri ka paigham. Akhir kya kuch nahi hai Kerbala mein. Imam Hussain a.s. ne Kerbala se is duniya ko har wo cheez ata ki hai jisse Zindagi ko behtar banaya ja sake. Kerbala sirf Islam ke liye nahi hai, balki kerbala to saari duniya ke liye ek institution hai. Jaise Hazrat Hurr a.s. ka waqeya iski misaal hai. Hurr Imam Hussain a.s. ko gherne ke maqsad se aaya tha. Lekin jab Imam ne dekha ki uska Lashkar Pyasa hai to apne lashkar se usko aur uske tamam saathiyon ko paani pilwaya. Yahan tak ki Hurr ke lashkar ke janwaron tak ko serab kiya. Imam jaante thay ki ye Dushman hai aur gherne aaya hai, Lekin Insaniyat ki meraj dekhiye ki Maula ne usko paani pilaya. Ye koi mamooli waqeya nahi hai. Tareekh mein iski misaal nahi milti. Aur is waqeya ka nateeja ye hua ki wahi Hurr 10 Moharram ko Yazeed ki fauj chorhkar Imam Hussain a.s. ke saathion mein shamil ho gaya aur Imam ke liye apni jaan qurbaan kar di. Yahan Imam ne kisi jabr ya zabradsti se Hurr ko apne saath nahi kiya, Balki apne Kirdaar se Hurr ko apna banaya. Imam Hussain a.s. ne duniya ko ek paigham diya ki kaise dushman ko talwaar se nahi balki Kirdaar se jeeta jaata hai. Aaj hum itne khudgharz hain ki sirf apne faede ki hi baat sonchte hain. Apne padosi tak ka khayal nahi rakhte lekin Imam Hussain a.s. ne apne dushman tak ke liye aisa sulook pesh kiya ki aaj log apne doston ke liye ye na karein. Ye sirf ek Kerbala ke Azeem waqeya ka ek chota sa gosha hai. Kerbala to har umr ke logon ke liye Paigham deti hai. 6 Maheene ke Ali Asghar a.s. se le kar Buzurg Habeeb Ibne Mazahair a.s. Ne apne kirdaar se sach aur sabr ka paigham diya. In logon ne apni Qurbaniyan sirf Haq ke liye pesh keein. Imam Hussain a.s. hi Haq thay. Unke muqable pe batil tha. Aur agar Insaan ye samajh le aur ye Yaqeen kar le ki wo Haque par hai to usko duniya ki koi taqat khaufzada nahi kar sakti. Yahi wajah hai Imam Hussain a.s. ki qayadat mein chote chote bachchon ne apni jaano ki qurbaniya hanste hanste pesh kar dein. Lekin batil ke agay nahi jhuke. Muqable pe Zalim badhshah tha aur uski laakhon ki Fauj theein. Lekin Imam Hussain a.s. ke saathiyon ko iska yaqeen tha ki wo haque pe hain aur agar haque ke liye jaan bhi chali jaye jo iski parwah nahi.
Lekin aaj ka Musalmaan apne zaati mafaad aur apni Mulukiyat aur iqtedaar ke liye aur apni manfi sonch ko doosron pe thopne ke liye Islam ke naam ka sahara le kar is azeem mazhab ko zakhmi kar raha hai. Ye Gunah-e-Azeem hai. Tareekh-e-Kerbala dekhi jaye to wahan aise Muslamaan milenge jinhone Apne seene aur apne gale aage kar diye lekin Islam pe zakhm nahi lagne diya. Wahan Haq waalon ne kisi begunah ki jaan li nahi balki apni jaan ko qurbaan kiya. Wahan Sabr ka muzahera kiya gaya. Warna Imam Hussain a.s. ke Lashkar mein aise aise jaanbaaz thay jo akele hi Yazeed ki fauj ko khatm kar sakte thay. Lekin wahan maqsad apni taqat aur quwat ka Muzahera karma nahi tha. Balki apni kirdaar ko pesh karne ka tha, taaki aane waali naslein unke is amal se Haqqo Batil ka faisla kar sakein. Wahan ye baat batai gayein ki Tamam Taqat aur quwat hone ke bawajood kaise sabr kiya jaata hai aur kaise ek nek maqsad ke liye apne kirdaar ko pesh kiya jaata hai.
Lekin aaj afsoos hai Ki Musalman khud Karbala ko apna Meyaar nahi bana raha hai. Agar Musalman Kerbala ka asl maqsad samajhta to aaj ye daur na aata ki Islam ka naam sunkar doosron ko khauf aa jaye. Balki Agar Tamam Musalmaan Kerbala ke asl maqsad ko samajhte to aaj shayed hi is duniya mein koi ghaer Muslim hota. Kyunki Kerbala ka paighham zameeno pe hukumat karne ka nahi hai balki dilon pe hukumat karne ka hai. Aur agar Insan ke seene mein dil hai to wo Kerbala ke waqeyaat sunnne ke baad khud ko Imam Hussain a.s. ke gham mein shareek karega. Aaj zarurat hai duniya ko Karbala ki taleem dene ki. Duniya ko Imam Hussain a.s. aur unke kunbe ki Azeem qurbanion ka ilm dene ka waqt hai, Kyunki Karbala Islam ke paas wo wahid sahara hai jo is duniya ke har Insaan ko uske qareeb la sakta hai. Isme kisi se koi ikhtelaaf nahi kiya gaya hai. Abhi bhi waqt hai ki Tamam Musalmaan Karbala ka sahara lein aur Paigham-e- Hussain a.s. ko aam karein. Kyunki Imam Hussain a.s. ne sirf Islam ko hi Zindagi nahi di, balki is poori Insaniyat ko nayee hayat bakshi hai.
Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain
Sar Daad Na Daad Dast Dar Daste Yazeed
Haqqa Ke Bina-e-La Ila Ast Hussain
(Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri r.a.)
AZ-
Kafsh Bardar-e-Azadaraan-e-Sayyad-ush-Shohada
Jalal kazim

photo glenn losack md
glennlosackmd.com/-/glennlosackmd/
mother proud of her son in every way
she thinks a just god
makes her suffer for sins
she in her past birth committed
her son has to pay
she knows that though he is blind
he lights her way
such thoughts
of karmic compensation
as replay
Kama Matam is cutting the forehead with a short sword like dagger..
At Kaisar Bagh it is the learning ground thans to Mumnna and his friends that guide you through the moves , and remove all thought of fear..
Even children in arms have their forehead cut a single swipe of the blade .Yeserday I shot much of this, and I saw kids whose head would not open up, and after their first or third attempt would come again to have a try..
These are tptal 98 pictures of Day I at Flickrs..
Day 2 I shot last night 350 pictures I have yet to post..
Kaisar Bagh on these few days before Ashura is an experience of spirtuality faith that does move a mountain of fear and makes it a mocking molehill.. such is the holistic power of Hussain.
Cutting of the forehead is called Kama Zani.
Even after being bandadged, no ointment, just rose water, the bleeding on his face continued..
If it gets serious they are rushed to the local Habib Hospital given stitches, first aid and sent off ..
After the Amin Imambara juloos on Ashura day morning Habib Hospital looks like a war zone..
The Noha reciter Busheri Matam...is Mamdi and he is a Iranian settled in India since ages..he has a great voice that invokes pain.Mamdi is a decorator and handler of Zuljana -the replica of Imam Hussains steed..
Busheri Matam is an export of the Iranian migrants in Mumbai.
It has now taken up a local Shia flavor..
The Noha recited in Persian..
The Matam is done like choreography, with a hand of the matamdar on the waist of the adjoining matam dar - and it forms a moving circle..
The matamdars bent down rise and hit their chests in spontaneous rythm of the Noha words..
This ends Day 1 at Kaisaer Bagh and the Mehndi of Hazrat Qasim, pictures are here at Flickrs..
Yesterday I shot Day 2 close to 350 pictures..that I have to post, I reach home tired sweaty as Mumbai is unbearably hot and humid..