Wednesday, August 1, 2012

Anna Hazare Tune Kar Diya Kamal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

aandhi mein bhi jalti rahi gandhi teri mashaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

dharti pe ladi tune ajab dhang ki ladaayi
daagi na kahin top na bandook chalaayi

dushman ke qile par bhi na ki tune chadhaayi
waah re faqeer khoob karamaat dikhaayi

chutki mein dushmano ko diya desh se nikaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
raghupati raghav raja ram

shatranj bichha kar yahan baitha tha zamana
lagta tha mushkil hai firangi ko harana
takkar thi bade zor ki dushman bhi tha thana
par tu bhi tha bapu bada ustaad puraana
maara wo kas ke daanv ke ulti sabhi ki chaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
raghupati raghav raja ram

jab jab tera bigul baja jawaan chal pade
mazdoor chal pade the aur kisaan chal pade
hindu aur musalmaan sikh pathaan chal pade
kadmon pe teri koti koti praan chal pade
phoolon ki sej chhod ke daude jawaahar laal
sabarmati ke sant tune
kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
raghupati raghav raja ram

man mein thi ahinsa ki lagan tan pe langoti
laakhon mein ghoomta tha liye satya ki sonti
waise to dekhne mein thi hasti teri chhoti
lekin tujhe jhukti thi himaalay ki bhi choti
duniya mein tu bejod tha insaan bemisaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
raghupati raghav raja ram

jag mein koi jiya hai to bapu tu hi jiya
tune watan ki raah mein sab kuchh luta diya
manga na koi takht na to taj bhi liya
amrit diya to theek magar khud zeher piya
jis din teri chita jali roya tha mahakaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal

de di hamein azaadi bina khadag bina dhaal
sabarmati ke sant tune kar diya kamaal
raghupati raghav raja ram
raghupati raghav raja ram
raghupati raghav raja ram

I am on Flickr Instagram You Tube