Saturday, July 28, 2012

Jis Ki Rago’n Mein Aatish-E-Badr-O-Hunain Hai Us Soorma Ka Isme Girami Hussain Hai. . .


"Tareekh ki boorh'ri aankhon ne
Is dasht-e-bala ki garmi mein
Ik shakhs ko baithay dekha hai,
Jo apnay khoon kay qatron say
Is rait kay zarray, zarray par
Kuch satrain likhta jata hai;
Phir garm hawa kay jhonkon say
Yeh zarray phailtay jatay hain,
Aur phail kay saari duniya mein
Ye No'-e-Bashar say kehtay hain:
Yun zulm ko roka jata hai,
Yun kufr ko toka jata hai.
Shabbeer (A.S) nay aa k Karbal mein,
Yeh sab logon ko batlaya:
Duniya kay Yazeedon ko duniya
Say yun hi mitaya jata hai."

I am on Flickr Instagram You Tube