Sunday, October 3, 2010

sirf mumbai main ise bhaiyya kaha jata hai

apki kismet ise kya degi yeh apni
kismet ka khata hai
jahan bangla deshi aur darindo ko
apnaya jata hai
lekin iski gand par lat markar
bhagaya jata hai
khub sataya jata hai kyonki
ise kadi dhoop
main murtiyan nahi banani thi isliye
yeh mumbai ata hai taxi ricksha hath gadi
chalata hai purana bhangar apka uthata hai
bhajiwalla pheriwala bhelwala icegolwala
paperwala parsi dairy ka doodhwala
yeh kehlata hai ..yeh nahi hai lafdewala
befuzool jhagadnewala ye pucca hindustani
sirf mumbai main azmaya jata hai

I am on Flickr Instagram You Tube