Sunday, August 8, 2010

Ya Sahibul Zaman

Hathon mein Zulfiqar liye mein dekh raha hoon

Ismat sar-e-bazar hey mein dekh raha hoon

Kis kis ne yahan Laasha-e-Shabbir ko loota

Aur kon azadar hey mein dekh raha hoon

Mein Perda-e-Geybat mein hoon us geyb kay Haq se
Jis jis ko bhi inkaar hey mein dekh raha hoon






Dunya waloon ne ajab shor macha rakha hey
Biddat-o-Fasq ko Islam bana rakha hey
Apni Tauheed agar tujh ko bachani hey Khuda
Bhej us ko jisay perday mein chuppa rakha hey





Perday mein rehnay walay zara samnay tou aa

Hum chup na hongey aaj shikayat kiye baghair

Muddat guzar gai hey Teray intezar mein

Kiya lout jayen Teri bayyat kiye baghair

Aey Fatema ka Laal hamari hey aarzu

Choomein Teray qadam Tu agar aaye ru-baru

Aaja kay Tujh ko Teri hi ghaybat ka waasta

Hum mar na jayen Teri ziyarat kiye baghair

Ek Teray intezar mein aey Ibne Askari

Eesa nahi faqat karorron hain aur bhi

sourced from net

I am on Flickr Instagram You Tube