How Intense Is The Love of Imam Hussain You Can See From This Picture, a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr.
This Shia child stood on a wall unafraid and undisturbed doing his matam , beating his chest as the noha reciter .. continued with his painful elegy..
karte the ro ro ke hazrat bayan
tod gaye meri kamar bhaijan
roti hain khaime main sakina waha
sote ho abbas zamin par yaha
arey lash uthaega kaun
shere jawan mar gaya
arey qabr banayega kaun
shere jawan mar gaya
arey hamko sambhalega kaun
shere e jawan mar gaya
todo na gurbat main meri utho
utho hussain aya hai abbas utho
rota hai mazloom basat yat utho
utho bas ab ghar main chalo bhaijan
are kaun khabar le meri
shere jawan mar gaya
hai meri bekasi
shere jawan mar gaya
chalti hai dil par churi
shere jawan mar gaya
kya huwa sakke sakina ko aaa
kisne kiya mera bhar ghar taba
kya huwi abbas biradar ki chaha
ab gayi woh pyar ki batein kaha
aye mar gaya akbar pisar
shere jawan mar gaya
tham lo meri qamar
shere jawan mar gaya
arey lut gaya bekas ka ghar
shere jawan mar gaya
kuvate bazoo mera kya ho gaya
zeenate pehloo mera kya ho gaya
aashikedil yoo mere kya ho gaya
kya huwa afsos mera qadradan