Tuesday, August 14, 2012

Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir haeJo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae

Salam qaak nasheenoun pah soghwaroun kaGhareeb detey hain pursa tumhare
pyaroun ka

Salam un pah jinhe sharm khaye jaati haeKhule saroun pah aseeri ki qaak aati hae

Salam us pah joh zehmat kashe salasil haeMuseebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae

Salam bhejtey hain apni shahzadi parKe jisko soump gaye marte waqt ghar S...arwar

Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayiNisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi

Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe meinHussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hainBujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain

Pahaad raat badi der hae saverey meinKahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein

Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibiWoh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi

Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibiKahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi

Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaamAjeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam

Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogiAbhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdeyTumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi

Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondeinTumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein

Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafizDarinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz

Salam turn pah shaheedon ke bekafan laashoSalam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro

Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir haeJo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae

Salam e Akhir written By Aal’e Raza Marhoom.

I am on Flickr Instagram You Tube