Sunday, July 1, 2012

abbase alamdaar abbase alamdar

236,968 items / 1,987,782 views


kis sher ki aamad hai ke ran kaamp raha hai
ran ek taraf charkhe kohan kaamp raha hai
rustum ka badan zere kafan kaamp raha hai
har qasre salateene zaman kaamp raha hai
shamsheer bakaf dekh ke haider ke pisar ko
jibreel larazte hai samete hue par ko
abbase alamdaar abbase alamdar

is shaan se islam ke parcham ko uthaya
sar dediya aur deene mohammad ko bachaya
kya maqsade shabbir ye tune hai bataya
ay sheh ke wafadar ay abbase alamdaar
abbase...........

hai sab se juda teri wafaon ka kharina
pani na piya tune taraayi ko to cheena
aankhon se juda kaise ho tasveere sakina
usse hai tujhko pyar ay abbase alamdaar
abbase...........

hai ashq fishaan aaj bhi ghan may tere pani
ye mashq sakina ki alam teri nishani
rota hai jahan sunke tere gham ki kahani
ay fauj ke sardaar ay abbase alamdaar
abbase...........

haider ki duwaon ka sila hai mere abbas
zahra ne tujhe beta kaha hai mere abaas
har daur may har dil ki sada hai mere abbas
zainab ke madadgaar ay abbase alamdaar
abbase...........

tumko na pukare to bhala kisko pukare
hai khushk bhatiji ka gala pyaas ke maare
roti hai sakina jo kabhi gham may tumhare
haste thay sitamgaar ay abbase alamdaar
abbase...........

abbas ke laashe pe ye kehte rahe sarwar
ruksat hue binaayi jo ruksat huye akbar
todi hai kamar gham ne tere meri baradar
ay fauj ke sardaar ay abbase alamdaar
abbase...........

karte hai dua ahmad-o-mohsin yehi paiham
hathon pe uthaye hue abbas ka parcham
jayenge ziyarat ko teri karbobala hum
hum tere hai ghamkhaar ay abbase alamdaar
abbase...........

I am on Flickr Instagram You Tube