Monday, June 18, 2012

Qasam Khuda ki, yeh ehsaan-e-Bint-e-Zehra (S.A) hai, Humain Hussain (A.S) ka maatam sikha gyi Zainab (S.A)."

196,792 items / 1,612,865 views


DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI,
YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?.
ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A.
HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI..


" AAEGI IMAM(A.S) KI AWAZ ZI HASHAM,
KABAY KI SIMT UTHNE LAGEGA HAR EK KADAM,
SEENO PE HATH HONGAY NIGAHON MAIN SB KI NUM,
GARENGAY SEHNAY KABA MAIN ABBAS(A.S) KA ALAM,
FARSH-E-AZA BICHAYGA SHAH-E-MASHRAQUAIN(A.S) KA,
BARPA KERAINGAY... KABAY MAIN MATAM HUSSAIN(A.S) KA.


"Maanaa kay takht-e-Shaam pay baitha hai tu, magar!
Eemaan ki sarhad pay tera raaj tau nahin;
Bay-pardegi say asmat-e-Zainab (S.A) ghati nahin,
Ka'aba, ghilaaf-e-Ka'abeh ka mohtaaj tau nahin."


Tanha Nabi K Ilm Ki Waris Batool Thi,
Parda'nasheen Na Hoti To Yeh Bhi Rasool Thi,
Beti Ali Ki, Fatima K Dil Ka Chain Thi,
Zainab Bazar-e-Shâam Me Bilkul Hussain Thi...



"Bint-e-Ali ,Ali Ki Tarha Sarfaraz Hai
Zainab ,Khuda Ki Shan Muhammad Ka Naaz Hai
Zainab Raza-e-Sabr KiJaiy Namaz Hai
Zainab Nabi Ke DEEN kI Ummr-eDaraz Hai.


Pas tere Asadullah ka hai dil Zainab
Tujh mein Abbas bhi Shabbir bhi shamil Zainab
Kis mein himmat thi jo deta tere khutboan ka jawaab
Sub to jahil thay wahan koun tha qabil Zainab


"Zainab (s.a) Yazeediyat say baghawat ka naam hai;
Lutnay na di azeez kamayi Hussain (a.s) ki,
Zainab (s.a) nay khud larhi hai larhayi Hussain (a.s) ki;
Rooh-e-amal hai, azm ki duniya ka chain hai,
Baad-e-Hussain (a.s) dehr mein Zainab (s.a) Hussain (a.s) hai."


"Zainab (s.a) chali tau jabr ka sooraj palat gya,
Qadmon ki chaap sun kay sitam darr kay hutt gya;
Zalim Ameer-e-Shaam ka takhta ulat gya,
Khutbon kay dayiray mein zamana simat gya.

"Masooma-e-Konain (s.a) ka kirdar hai Zainab (s.a),
Abbas (a.s) ki tarah say wafa-daar hai Zainab (s.a);
Zainab (s.a) ko pukaray tu, koi waqt-e-museebat,
Haider (a.s) ki tarah kul ki madadgaar hai Zainab (s.a)."



"Ismat say bana hai meray Shabbeer (A.S) ka paikar,
Tu naar hai, wo noor ki tanveer ka paikar,
Takhreeb tera azm, wo ta'ameer ka paikar,
Tu najs sarapa hai, wo tat'heer ka paikar;
Tu jismon ka haakim hai, wo zehnon ka wali hai,
Tu Muawiya-zaada (L.A), wo Hussain (A.S) ibn-e-Ali (A.S) hai."

"Shabbeer (A.S) ki ghurbat pay ronay kay waastay,
Zehra (S.A) nay baiti maang li Parwardigaar say;
Bint-e-Ali (S.A) ki jurra't-o-himmat tau daikhye,
Nasl-e-Yazeed kaat di chaadar ki dhaar say."


"Reh gyi dasht mein tanha tau watan yaad aaya,
Pani jab paya tau har tishna-dehen yaad aaya;
Lay kay har cheez Madineh say chali thi Zainab (S.A),
Bhai ki laash pay ponhchi tau kafan yaad aaya."



Milta naheen tha koi sahara Yazeed ko,
Bibi (S.A) nay iss tarah se ujaarha Yazeed ko;
Khatoon (S.A) jung kar naheen sakti theen, iss lye:
Khutbon ki Zulfiqaar se maara Yazeed ko."

"Bulandiyon se buland hai muqaam Zainab (S.A) ka,
Durood parhh kay lia kar tu naam Zainab (S.A) ka;
Yeh sar pay chaadarain ab bhi gawahi daiti hain,
Hai pardeh-daari ka saara nizaam Zainab (S.A) ka."

“Zainab (S.A) Khuda ke deen ki ghumkhuaar ban gai,
Azm o amal mai Haider e Karrar (A.S) ban gai;
Deen e Nabi (S.A.W.W.A) pe anch na anay di, marhaba,
Baad e Hussain (A.S) us ki madadgar ban gai;
Majlis bapaa ki baad e rayhaee Hussain (A.S) ki,
Shah e Huda (A.S) ki pehli azadaar ban gai.”


Yaad Aogae Bhayya

www.youtube.com/watch?v=v915-JPjGrw&feature=related

I am on Flickr Instagram You Tube