Sunday, March 4, 2012

Nayi Umar Ki Nayi Fasal.. A Forgotten Gem..

This is my tribute to a blogger Atul who has captured the beauty of old lyrics for posterity .. may his tribe increase ... his words on this film Nayi Umar Ki Nayi Fasal

atulsongaday.me/

During the golden era of Hindi movie music (circa 1950-1980), things were quite simple and rudimentary in most fields. Hindi movie songs tended to become popular only if the movie did better, and the movies did better only if they followed certain set formulaes. Movies that tended to deviate from the standard formulae tended to fail and as a result, the songs of such movies too would suffer.

“Nayi Umar Ki Nayi Fasal” (1967) was an off beat movie and it failed at the box office. AS a result, the songs of this movie also failed to get popular with the public. In fact, most people may not have heard of most of the songs of this movie.
For instance, I was just not aware of this song from “Nayi Umar Ki Nayi Fasal” (1967). I have become aware of this song only because of a farmaish from Lalitha who has obviously heard this song before.
Here is this lovely radio song, which is sung by Asha Bhonsle and Rafi. The song is picturised on Tanuja and Rajeev.
Neeraj (who was making his debut as a lyricist in this movie) is the lyricist. Roshan is thew music director.
Here is this forgotten gem from a forgotten movie.


Song-Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai (Nayi Umar Ki Nayi Fasal) (1967) Singers-Asha Bhonsle, Rafi,Lyrics-Neeraj, MD-Roshan
Lyrics
aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
aaj to tere binaa neend nahin aayegi
ab to tere hi yahaan aane kaa ye mausam hai
ab tabeeyat na khayaalon se bahal paayegi
haay paani ki ye rimjhim ye guledaar phuhaar
aise nas nas mein teri chaah jagaa jaati hai
jaise pinjre mein kisi qaid pade panchhi ko
apni aazaad udaanon ki yaad aati hai
ab to aa jaao
ab to aa jaao meri maang ke sindoor suhaag
saans teri hai
saans teri hai tere naam pe mit jaayegi
aaj to tere binaa neend nahin aayegi
aisi hi raat to wo thhi ke teri nazron ne
mujhe pahnaayaa thaa jab pyaar ke kapdon kaa libaas
aur us raat bhi aisi hi sharaabi thhi fizaa
jab teri baahon mein mahki thhi meri saans-o-adaa (?)
aur ab aisi
aur ab aisi jawaan rut mein akeli main hoon
aa jaa warnaa
aa jaa warnaa ye shamaa kaanp ke bujh jaayegi
aaj to tere binaa neend nahin aayegi
aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
aaj to tere binaa neend nahin aayegi
hmm hmm hmm
par thahar wo jo wahaan
par thahar wo jo wahaan lete hain footpaathon par
laash bhhi jinki kafan tak na yahaan paati hai
aur wo jhonpde chhat bhi na hai sar par jin ke
chhaate chhappar hi jahaan zindagi so jaati hai
pahle in sab ke liye
pahle in sab ke liye ek imaarat gadh loon
phir teri maang
phir teri maang sitaaron se bhari jaayegi
aaj to tere binaa neend nahin aayegi
aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
aaj to tere binaa neend nahin aayegi

www.youtube.com/watch?v=KHGVFi1vMo0&feature=related

I am on Flickr Instagram You Tube