Sunday, March 4, 2012

karvan guzar gaya ghubar dekte rahe


Swapna-jhare phool se,
Meet-chubhe shool se,

Lut gaye singaar sabhi baag ke babool se,
Aur hum khade-khade bahaar dekhte rahe,
Karvan guzar gaya, Gubar dekhte rahe.

Neend bhi khuli na thi ki hai dhoop dhal gayi,
Paon jab talak uthe ki zindagi fisal gayi,
Paat-paat jhar gaye ki shaakh-shaakh jal gayi,
Chah to nikal saki na par umar nikal gayi.

Geet ashk ban gaye,
chhand ho dafan gaye,
Saath ke sabhi diye dhuan-dhuan pehen gaye,
Aur hum jhuke-jhuke,
Mod par ruke-ruke,
Umar ke chadhaav ka utaar dekhte rahe,
Karvan guzar gaya, Gubar dekhte rahe!

Kya shabaab tha ki phool-phool pyar kar utha,
Kya suroop tha ki dekh aina sihar utha,
Is taraf zameen aur asmaan udhar utha,
Thaam kar jigar utha ki jo mila nazar utha,
Ek din magar Yahan,
Aisee kuchh hawa chali,
Lut gayi kali-kali ki ghut gayi gali-gali,
Aur hum lute-lute,
Waqt se pite-pite,
saans ki sharaab ka khumaar dekhte rahe,
Karvan guzar gaya, Gubar dekhte rahe!


Haath the mile ki zulf chaand ki sanwaar doon,
Honth the khule ki har bahaar ko pukaar doon,
Dard tha diya gaya ki har dukhi ko pyar doon,
Aur saand yoon ki swarg bhoomi par utaar doon,
Ho saka na kuchh magar,
Shaam ban gayi seher,
Woh uthi lehar ki dheh gaye kile bikhar-bikhar,
Aur ham dare-dare,
Neer nayan mein bhare,
Odh-kar kafan pade mazaar dekhte rahe,
Karvan guzar gaya, Gubar dekhte rahe!

Maang bhar chali ki ek jab nayi-nayi kiran,
Dholke dhunuk uthi, thumuk uthe charan-charan,
Shor mach gaya ki lo chali dulhan, chali dulhan,
Gaaon sab umad pada, behek uthe nayan-nayan,
Par tabhi zehar bhari,
Gaaz ek woh giri,
Punchh gaya sindoor, taar-taar hui choonri,
Aur ham ajaan se,
Door ke makaan se,
Palki kiye hue kahar dekhte rahe!
Karvan guzar gaya, Gubar dekhte rahe!!


Movie : Nai Umar Ki Nai Fasal
Music Director : Roshan
Singer(s) :Mohd. Rafi

www.youtube.com/watch?v=ljH6BJchuMo
Lyricists :Neeraj

I am on Flickr Instagram You Tube