Saturday, November 5, 2011

Shimr Ibn Thil-Jawshan The Serpent Seed Of Satan

From Wikipedia, the free encyclopedia

Shimr Ibn Thil-Jawshan Khuda Ki Laanat was the commander in the Ummayad army during the Battle of Karbala, in southern Iraq that occurred in the year 680 AD. He was from the same tribe, Bani Kalab, as Abbas ibn Ali's mother.

In battle, he was responsible for beheading Husayn ibn Ali, the grandson of the prophet Muhammad. He was also instrumental in pillaging the camp of Husayn after raising his head on a post to declare his victory.

Although the apparent battle was won by the sadistic beheading, where Shimr began beheading the grandson of Muhammad. Shimr and his camp continued to pilliage the camp of Husayn which was only left with women and children and Husayn's son who was ill, and few belongings of no value.



From Facebook
Zeeshan Haider
Dialogues between Yazeed and Shimr-e-laeen at Darbaar-e-Shaam, when Shimr took the ahl-e-bait-e-athaar as prisoners of Yazeed. Now Yazeed asked Shimr to give a detail story of what happens at Karbala. Ahl-al-bait were also standing in the darbar at that point of time when shimr started telling him the story I have just written few stanzas of Mirza Dabeer.

Yazeed asking shimr, Were you felt grief at any point of Karbala Massacre over the mazloomiyat of Imam Hussain ? Shimr replied :


Ki arz teen jaa, wo pukaara kaha’n kaha’n
Shimr-e-layi’n ne roke kaha ek to waha’n
Khali hua nabi ke murakke se jab jaha’n
Aur naujawaa’n ki laash pe aaye shah-e-zamaa’n

Bejins-e-be-hawaas the aur beqaraar the
Nana ke raahwaar pe hazrat sawaar the

Dunya me aise haadse bhi kam guzarte hai
Ye dard tha hussain ko goya ke marte hai
Dastoor hai sawaaro’n ka jis dum utarte hai
Pehle juda rakaabo’n se wo paao’n karte hai

Hazrat ne paao’n bhi na nikale rakaab se
Laashe pe jast karke gire izteraab se

Barchi juda kaleje se ki aur ye di sada
Kyu’n meri jaan hosh kuch is dum hue baja
Akber ne aa’nkh kholke chupke se ye kaha
Paani pilayiye ki thehr jaaye dum mera

Sookhi zaba’n dikhake to akber ne ro diya
Aur uzr karke sibt-e-payamber ne ro diya

Usne kaha ki phir shah-e-abraar kya karoo’n
Paani hai band zapt hai dushwaar kya karoo’n
Bole hussain, mai bhi hu’n naachaar kya karoo’n
Tum pyaas se tadapte ho mai pyaar kya karoo’n

Akhir tadapke beta jaha’n se guzar gaya
Baba ko uzr karta raha beta mar gaya

Us waqt khaanazaad ka tharra gaya jigar
Hazrath ki yaas per ali akber ki pyaas per
Bola yazeed tu bhi makkar kis qadar
Kaisa ye rehm aur ye kaisa khuda ka dar

Kehta hai is khalaq ne kaleja hila diya
Darya tha paas aur na paani pila diya

Usne kaha ke rehmdil itna nahi ghulaam
Le sun mere malaal ka doosra maqaam
Tapti hui zamee’n pe tadapte the jab imam
Aage badha mai zibha ki niyat se chand gaam

Bhoolu’nga maajra na kabhi us maqaam ka
Apna sitam aur uspe tahammul imam ka

Taa-zindagi hussain ki ghurbat na bhoolegi
Mazloomiyat na bhoolegi, hasrat na bhoolegi
Wo gard me ati hui soorat na bhoolegi
Seene pe moza rakhne ki bid’at na bhoolegi

Khanjar gale pe rakhke garebaa’n ka kholna
Wo dekhna hussain ka aur kuch na bolna

Us waqt nikli sheh ki behen shor-o-shain se
Chaha ke lipte fatema ke nor-e-ain se
Milne diya na maine behen ko hussain se
Khanjar milaya halq-e-shah-e-mashraqain se

Sookhe gale se khoon ke fawware beh gaye
Zainab ki simt haatho’n ko phailake reh gaye

Yaa’n bhi bohut uda tha mera dil khuda gawah
Akhir me wo maqaam-e-tarawum hai aah aah
Jab kat chuki ali-o-payamber ki bosagaah
Bandhi liye haram ko chali sham ki sipaah

Sab oo’nth qatlgaah ki jaanib jo phir chale
Naaqo’n se peette hue saadat gir pade

Us waqt tak the sab shohada ke saro’n pe sar
Be-sar tha ek laasha-e-sultan-e-behr-o-bar
Laash apne apne pyaaro’n ki paayi jo khoo’n me tar
Godi me leke bibiya’n baithi zameen per

Bola umar ke aur bhi haal inka ghair ho
Pyaaro’n ke sar jo god me kaato to ser ho

Phir to humari teghe’n thi aur laasho’n ke gale
Besar haram ki godiyo’n me the god ke pale
Akber ki laash baanu ke seene ke the tale
Dauda jo mai to boli ke sar mera kaatle

Shakl-e-muhammad-e-arabi ka adab nahi
Ummat me hai nabi ki nabi ka adab nahi

Chahu’n yaha’n se mai, to sar inka utaar du’n
Kya pur-naseeb zulm hai ye mere hi roo-ba-roo
Ye wo hai jiske byaah ki thi mujhko aarzoo
Mai laash cheenne laga ye sunke guftugu

Rakhker gala gale pe wo laachaar gir padi
Us waqt mere haath se talwaar gir padi

Mai kya kahu’n ke daudker burra’n ne kya kiya
Lipti rahi wo laash se aur sar juda kiya
Ye sunke sama’een ne mehshar bapa kiya
Bas ay “Dabeer” haqq-e-fasahat ada kiya

Gardish me khud falaq hai, ye kya tujhko chain de
Iska sila jo de’n to janaab-e-hussain de’n

Iltemas-e-Dua

I am on Flickr Instagram You Tube