Monday, March 15, 2010

Hijda Aur Khuda Kaun Kisse Juda

121,652 items / 808,330 views

badi fursat se
bade itmenan se
khuda ne
use ladka
banaya tha
waqt guzra
bandhe ne apni
rooh main
ek naayi rooh
ko basaya tha
khuda ki banayi hui
cheez ko
aur khoobsurat
banakar khuda ko
dikhaya tha
mitti ke putle ko
kya admi
ne devta nahi
banaya tha
pooja ke kabil
banaya tha
mitti ke putle
ko uparwale ka
darja dilaya tha
isi tarah mard
ne apne roop
main aurat
ki parchaee
ko samaya tha
mom ki murti ko
lajawab bemisal
banaya tha
sab kuch hai
sirf ek mamta ki kami
hijda ma ka mustakbil
ma ki mamta ko
putle
main samet nahi
paya tha
na aurat
na mard
woh sirf
ek saya tha
akela
paraya tha

I am on Flickr Instagram You Tube