Sunday, January 10, 2010

Farshe Aza Pe Aana Ka Shukriya

This is Iqbal Bhai of Hyderabad I shot the picture without he being aware of it, and does one take permission before shooting such touching emotional situations, Shiasm is a faith one must also read as a poet to understand the pain of a community , that has been oppressed persecuted for showcasing the true Black Page of Islam the Martyrdom of Imam Hussain and the cruelty undergone by his entire surviving household at Sham Damascus under the accursed Umayed despot and the original butcher of Karbala before Saddam Hussain.. the father of modern terrorism..Yazid son of Mauwiyah descendant of Abu Sufiyan.


Iqbal bhai is touching the feet of those who came to the Farshe Aza to share the pain of Bibi Zainab the indomitable sister of our Imam ..she single handedly stood up against Injustice meted out to her family and racial profiling for being from the Holy Family of our revered Holy Messenger.

Reciter : Nasir Jahan



Jab Hoke Riha Qaid se Ghar Jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Aaghosh ke paleon ko kahan payegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Bin bhai ke weeran nazar ayega madina - Hoga ye kharina
Pooche gi ye sughra tho tadap jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Chajayegi rouze pe Mohammed ke udaasi - Royegi nawasi
Ashkon may lahoo qalb ka barsayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Kya dilpe guzar jayegi apne hi makan may - Aur aaho fughan mai
Sunsaan jo beteon ki jaga payegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Barchi lagi seene pe laga teer gale par - Barbaad howa ghar
Ab Akbaro Asghar ko kahan payegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Bechainiya badhjayegi hojayegi muzthar - Yaad ayenge Asghar
Paani kahin thoda sa agar payegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Veeran nazar ayega makanka har ek hujra - Shaq hoga kaleja
Akbar sa bhatija ko kahan peyegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Aaghosh ke palon ko kahan payegi Zainab - Ghabrayegi Zainab
Jab hoke riha qaid se ghar jayegi Zainab - Ghabrayegi Zainab

Ghabrayegi Zainab

Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab


Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi, kya aayi tabaahi
Ab isko na aabaad kabhi payegi Zainab


Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja, yaad aaoge bhaiyya
Dil dhoondhega tumko toll kahaan payegi Zainab


Bin bachhon ke kehlaayi toh kehlaayi mein laikin, yeh kaise ho mumkin
Bin bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab


Poochenge joh sab loug ke baazu ko huva kya, yeh neel hae kaisa
Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab

I am on Flickr Instagram You Tube