Thursday, June 7, 2007

Kabr Par Aansu....Bahate Hue





























balon ko dupatte se chupaye hue
kabr par baithi mehboob ke
dil ko dab dabaye hue
fatiya padti hai
beeti yadon ko
hawa mein bhikraye hue
hath be jod thar thrate hue
lash jaise lamhe
ansu mein samate hue
mashk ke dard kabr pe bahate hue


mehboob kabr mein soya hi tha
kaie bar puthi kismet par roya bhi tha
kash mein phir se zinda hota
tere dil ke pinjre ka parinda hota
teri ujad duniya ka bashinda hota
kash mein es tarah na roya hota
babul ka jhad na boya hota
beeta hua waqt na khoya hota
sapnon ko suee ki ankh mein na
piroya hota
shayad kuch din aur mein zinda hota

I am on Flickr Instagram You Tube