Sunday, December 21, 2014

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad




Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi
Bekason ke madadgaar ho ya nabi

Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hum hain ranj-o-museebat ke maare hue
Saqt mushkil mein hain gham se haare hue

Ya nabi kuchh Khudaara humein bheek do
Dar pe aaye hain jholi pasaare hue

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum
Haalat-e-bekasi kisko dikhlaaye hum

Hum tumhaare bhikaari hain ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath phailaayein hum

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali

Kuchh nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali

Haq se paayi wo shaan-e-kareemi
Marhaba dono aalam ke waali

Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe nazr-e-karam tum ne daali

Zindagi bakhsh ki bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali

Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Jo ibn-e-murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai

Khurbaan ho ke Fatema Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne

Bakhshi hai jisne mazhab-e-Islam ko hayaat
Jitni azeem hazrat-e-Shabbir ki hai zaat

Maidaan-e-Karbala mein shah-e-khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Mohammad ke laal ne

Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali

Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Hashr mein unko dekhenge jis dam
Ummati ye kahengey khushi se

Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Mehshar ke roz pesh-e-Khuda hongey jis ghadi
Hogi gunahgaaron mein kis darjaa bekali

Aate hue nabi ko jo dekhenge ummati
Ek doosre se sab ye kahengey khushi khushi

Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Sar-e-mehshar gunahgaaron se purzish jis ghadi hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki parhi hogi

Sabhi ko aas us din kambli waale se lagi hogi
Ke aise mein Mohammad ki sawaari aa rahi hogi

Pukaarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaaron na ghabraao gunahgaaron

Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Sachaa ye waaqiya hai azaan-e-Bilaal ka

Ek din rasool-e-paak se logon ne yun kahaa
Ya Mustafa azaan ghalat dete hain Bilaal

Kahiye huzoor aapka is mein hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye

Waqt-e-sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo azaan-e-sahar na di

Khudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aaye Nabi ke paas kuchh as’haab-e-baasabaa

Ki arz mustafa se ay Shah-e-ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa

Jibreel laaye aise mein payghaam-e-Kibriya
Pehle to Mustafa ko adab se kiya salaam

Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yun Jibraeel ne kahaa khair ul anaam se

Allah ko hai pyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hai aap se ye Rabb-e-Zuljalaal

Hogi na subha dengey na jab tak azaan Bilaal
Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha

Arsh waale bhi sunte thhey jisko
Kya azaan thi azaan-e-bilaali

Kaash purnam se aaye nabi mein
Jeete ji ho bulaawa kisi din

Haal-e-gham Mustafa ko sunaaoon
Thhaam kar unke rauze ki jaali

Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali


I am on Flickr Instagram You Tube