Thursday, February 6, 2014

Magar MuJhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye ShoHrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo MuJhse Meri Jawaani
Magar MuJhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo BuDhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee BaatoN Mein PariYoN Ka DeRa
Wo Chehre Ke JhuriYoN MeiN SadiYoN Ka Phera
BhulaaYe NahiN Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See RaateN Wo Lambi KahaaNi

KaDi DhooP MeiN Apne Ghar Se Nikalna
Wo ChiDiya Wo Bulbul Wo Thithli PakaDna
Wo GuDiya Ki Shaadi Pe LaDna JHagaDna
Wo JhooloN Se Girna, Wo GiR Ke SambhalNa
Wo Pithal Ke ChalloN Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo TuTi Hui ChudiYoN Ki Nishaani

Kabhi Re't Ke OoNche Tilon Pe Jaana
GharOnde Banana, Banaake MiTaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo KhwaboN KhiloNo Ki Taabir Jaageer Apni
Na DuniYa Ka Gham Tha Na RishtoN Ke Bandhan
BaDi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani

www.lyricsmasti.com/song/2313/get_lyrics_of_Yeh-Dulat-Bhi...

I am on Flickr Instagram You Tube