Wednesday, November 13, 2013

salaami Karbala mein kya qayamat ki ghari hogi churi Shabbir ki gardan pe jis dam chal rahi hogi

hussain is a very powerful element of our existence .. no tears no cry i would die

My friend Amin crying with me is a Hindu Gujrati who converted to Shiasm.. and is far too devout I am learning to be devout from him.. like him.. i have far too many flaws

picture shot by dr glenn losack md

Ya Hussain! Ya Hussain!

shaheed-e-Karbala ki mominoN jab yaad aati hai
tadap jaati hai duniya, khoon ke aansooN bahaati hai
Ya Hussain! Ya Hussain!


Whenever the martyrs of Karbala are remembered
The world cries and sheds tears of blood
O Hussain! O Hussain!


shah hast Hussain baadshah hast Hussain
deen hast Hussain deen pana hast Hussain
sar daad na daad dast dar dast-e-Yazeed
haq aa ke bina La-Ila hast Hussain


Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Truly, the mirror of faith is Hussain


sajde mein sar kataane ko aakhir kata dia
lekin Khuda ke naam ka danka baja dia
Ya Hussain! Ya Hussain!!


Finally, he was martyred during prayer
But the word of God was made famous the world over
O Hussain! O Hussain!


deed ki gar talaash hai sar ko jhuka namaaz mein
dil se khudi ko bhool kar khud ko mita namaaz mein
aayega tujh ko jab nazar roo-e-Khuda jab namaaz mein
pahle Hussain ki tarah sar ko kata namaaz mein
aur keh
Ya Hussain! Ya Hussain!


If you search for God, bow your head in prayer
Forget the self, lose your self in prayer
You will then realise God in your prayers
When you first sacrifice yourself like Hussain in prayer and then say,
O Hussain! O Hussain!


kis ki majaal ai Hussain tujh ko ho tujh se ham-saree
baap ke ghar Imam the naana ke ghar payambari
shakl-e-Hussain dekh kar haq bhi kahega hashr mein
ai mere Mustafa ke laal ummat-e-Mustafa baree
Ya Hussain! Ya Hussain!


Who can claim parity with you O Hussain,
Your father was the leader and grandfather was prophet.
Even God will say looking at the face of Hussain
O the flower of Muhammad, all his followers are forgiven
O Hussain! O Hussain!


salaami Karbala mein kya qayamat ki ghari hogi
churi Shabbir ki gardan pe jis dam chal rahi hogi
kaleja thaam kar Meer-e-falaq bhi rah gaya hoga
kaleje per Ali Akbar ke barchi jab lagi hogi


What difficult time it would have been in Karbala
When Shabbir had the knife on his throat.
Even the prince of the Universe would have his heart out
When the dagger was drawn on the heart of Ali Akbar


mujhe jaane do paani bhar ke ye Abbas kehte the
kayi din ki pyaasi hai Sakina ro rahi hogi
luti hai jaise duniya Karbala mein ibn-e-Haider ki
kisi mazloom ki duniya na duniya mein luti hogi


Let me go, let me take the water with me, urged Abbas
Sakina is waiting, thirsty for days.
Like the world of father of Haider was lost
Nobody's world would have been lost this way


Mohammad ke nawaase ne jo kee teghoN ke saaye mein
bashar to kya farishtoN se na aise bandagi hogi
hamare khooN ke badle mein ummat bakhsh de Ya Rab
Khuda se hashr mein ye iltijaa Shabbir ki hogi
Ya Hussain! Ya Hussain!


As prayed the grandson of Muhammad under the swords
Let alone humans, even angels would not have prayed that way.
O God ! forgive the Muslims in lieu of my sacrifice
This will be the request of Shabbir on the judgement day.
O Hussain! O Hussain!

I am on Flickr Instagram You Tube