sotay ho chain se darya ke kanaare bhaiya kya sunayi nahi deti tumhay halmin ki sada abbas tanha hai khade ran may sarwar, a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr.
\
abbas ay shere nayastane hyder
deti thi sada zainab rokar
abbas ay shere....
kya isi din ke liye maangi thi baba ne dua
aake pardes may hojaoge tum humse juda
sotay ho chain se darya ke kanaare bhaiya
kya sunayi nahi deti tumhay halmin ki sada
abbas tanha hai khade ran may sarwar
abbas ay shere....
ay mere shere jawan ay mere bhai ho kahan
shaakh hai dil pe mere teri judaai ho kahan
dayr se deti hoo bhaiya mai duhaai ho kahan
lut-ti hai fatema zehra ki kamayi ho kahan
abbas khanajr hai halqe sarwar par
abbas ay shere....
kya isi din ke liye saath behan thi aayi
aagayi neend jo darya ki tarayi paayi
phir palat kar hame soorat bhi nahi dikhlayi
aagaya ran se alam tum nahi aayi bhai
abbas phat-ta hai mera sadme se jigar
abbas ay shere....
girke ghoray se sada baap ko akbar ne jo di
dibare fatema zehra ki ajab haalat thi
haath malte thay kabhi ghaat ko taktay thay kabhi
thaam kar tooti kamar kehti thay farzande nabi
abbas laaun kaise laashe akbar
abbas ay shere....
haal shabbir ka ab to nahi dekha jaata
hai kamar kham nahi aankhon se soojhayi deta
ye zeefi ye jawan laal ka sadma bhaiya
thaam lo badke zara haath tumhi bhai ka
abbas khaate hai thokar par thokar
abbas ay shere....
bhai ko bhool gaye dhyaan na behno ka raha
yaad aaya na koi paayi jo darya ki hawa
haye kis dil se kiya tum ne gawara bhaiya
har tamache pe sakina ne tumhay yaad kiya
abbas jab cheene gaye kano se gohar
abbas ay shere....
hai qayamat ka saman loot hai har simt machi
koi pursa nahi haalat ajab bachon ki
taaziyane koi khaata hai tamache koi
aag daaman may hai masoom sakina ke lagi
abbas bhaiya utho lo jald khabar
abbas ay shere....
chor kar dashte musibat may behan ko bhai
tumne acha hi kiya door basayi basti
dekh sakte thay kahan tum to haye halat meri
balwaye aam may bhaiya mai khule sar hoo khari
abbas aada le gaye chaadar
abbas ay shere....
azmato izzate saadat bhula di bhai
aag qaimo may layeeno ne lagadi bhai
masnade ahmade mursal bhi jaladi bhai
taaziyano se hai abid ko saza di bhai
abbas ghash may hai pada mera dilbar
abbas ay shere....