Sunday, December 23, 2012

Ay Momino! Hussain ka matam akheer hai by Mir Babar Ali Anees

Ay Momino! Hussain ka matam akheer hai
Bazm e azaa e qibla e alam akheer hai
Shi’yo! Shahe anaam ka matam akheer hai
Hain majlis e tamaam Moharram akheer hai
Uryaan sar hai fatah e badr o hunayn ka
De lo Batool e paak ko pursa Hussain ka

Haan aashiqaan e Shahe umam! Peeto apna sar
Ashra hai aaj aur ye qayamat ki hai sahar
Aalam ke baadshaah ka dunya se hai safar
Uth te hain taaziye ke chaley Shahe bahrobar
Rukhsat hai Shay ki ahle azaa behawaas hain
Dekho tou kaise ta’ziya khane udaas hain

Wa hasrata Imam e gharibaan ka kooch hai
Afsoos hai ke deen ke Sultaan ka kooch hai
Roanakh ke din chaley Shahe zeeshaan ka kooch hai
Rukhsat karo Hussain se mehmaan ka kooch hai
Sadma ajab tarah ka hai dil par hai jaan par
Kaisi udaasi phaeli huwi hai jahaan par

Ay noor e chashm e Ahmad e Muqtaar alwida
Ay Sayyed Ay Batool ke dildaar alwida
Ay ummat e Rasool ke ghamkhwaar alwida
Ay hum se bekasoon ke madadgaar alwida
Aah o buka se hum kabhi ghafil na hoinge
Jab tak jeeyenge aap ki ghurbat pe roinge

Ay be dayaar o be sar o samaan alwida
Ay binte Mustafa ke dil o jaan alwida
Ahmad ke baagh ke gul rehaan alwida
Das din ke mo’mineen ke mehmaan alwida
Shi’yo nisaar tere tan e paash paash ke
Ay be kafan Hussain! Fida teri laash ke

Ay jism o jaan e Hyder e karrar alwida
Ay shi’yaan e deen ke sardar alwida
Sayyad ghareeb bekas o naachaar alwida
Be khoish o be biradar o be yaar alwida
Hai hai imaam baadhon ko sunsaan kar chaley
Aqaa tamaam hind ko veraan kar chaley

Lo Shahe deen ke taziya daaro! Karo buka
Maatam ke din tamaam huwe wa musibata
Yaaro! Wida hota hai mazloom e karbala
Mehmaan dou pehar ka hai wo Shahe dou saraa
Ab maut le chali Shahe aali maqaam ko
Rukhsat karo Hussain alaihis salaam ko

Peeto mohibbo! Hind se aaqa ka kooch hai
Ro’o ke aaj Sayyed e waala ka kooch hai
Afsoos hai ke bekas o tanha ka kooch hai
Haan shi’yoon! Khaak udhao ke Moula ka kooch hai
Jee bhar ke ronay paaye na matam huwa akheer
Aashur ka bhi rozay moharram huwa akheer

Kis tarha aaye ta’ziya daaron ke dil ko chain
Har simpt roohe Fatima roti hai karke bain
Ahle azaa! Ye nauha padho ab ba shor o shain
Qurbaan teri laash ke Zahra ke noor e ain
Mohtaaj gor garm zameen par padha raha
Chalees roz dasht mein be sar padha raha

Dou din ki dhoop raat ki wo aaus hai sitam
Wo kankaroon ka farsh wo maidaan e dard o gham
Aur garm garm jhonkoon ka chalna wo dam badam
Is dukh pe saarbaan ne kiye haath bhi qalam
Sadmey guzar gaye ye tan e chaak chaak par
Hai hai ye aasmaan na gira phat ke khaak par

Lo yaaro! Ab Hussain ki rukhsat ka roz hai
Hyder ke noor e ain ki rukhsat ka roz hai
Zahra ke dil ke chain ki rukhsat ka roz hai
Sultaan e mashraqain ki rukhsat ka roz hai
Phir karbala ki simpt Shahe karbala chala
Hadi chala Imaam chala peshwa chala

Sibt e Nabi ki majlis o matam tamaam hai
Ibne Ali ki majlis o matam tamaam hai
Haq ke wali ki majlis o matam tamaam hai
Roo e sakhi ki majlis o matam tamaam hai
Aainda saal tak jo koi zinda hoyega
Phir wo shareek hokay moharram mein royega

Bas ye zareeh hogi na hoinge ye alam
Ye majlisein ye sohbatein ghar ghar se hogi kam
Mimbar ko khali dekh ke hoyega dil ko gham
Ye din wo hain ke qatl huwe hain Shahe umam
Abh taaziya uth ta hai har ik khaak udhayega
Abh tou imam baarhoon mein jaya na jaayega

Ro’o mohibbo! Aaj ke riqqat ka roz hai
Sibte Nabi ki aaj shahadath ka roz hai
Mazloom o tashnalab pa musibat ka roz hai
Sar par udhao khaak qayamat ka roz hai
Maatam tumharey aaqa ka yaaro tamaam hai
Mehmaan koi dam koi saa’at Imaam hai

Ashray ka din hai aaj mohibbaan e bawafa
Khanjar se zibhh hogaye Sultaan e karbala
Laazim ka aaj tum ko karo girya o buka
Jalti zameen par tan e uryaan parhaa raha
Ghusl o kafan diya na tan e paash paash ko
Gaada kisi ne aakey na Sayyed ki laash ko

Ay momino! Hussain ki rahlat ka waqt hai
Ay yaaro! Tumse Shaah ki rukhsat ka waqt hai
Lutne ka Fatima ki riyazat ka waqt hai
Aaqa ki ye tumharey shahadath ka waqt hai
Turbat mein jaakey zar e zameen gar na soyenge
Phir aglay saal ashray mein Hazrat ko royenge

Ro lo azizo! Phir kahan tum aur ye din kahaan
Aglay baras jo zinda thay hain khaak mein nahaan
Kya ai’temad zeesth ka dunya ke darmiyaan
Paik e ajal se dahr mein milti hai kab amaan
Kahe ko is sawaab ko haatho se kho o tum
Aainda saal ho ke na ho khoob ro o tum

Ya Rabb! Jahan e nazm e riyazat hara rahe
Gulshan ye hum jiloon se phoola phala rahe
Ahle azaa pe saaya e mushkil kusha rahe
Daamaan gul e ummeed se har dam bhara rahe
Is nazm ka Anees tujhe phir sila miley
Sadqe se Panjetan ke jo ho muddu’a miley

I am on Flickr Instagram You Tube