Sunday, December 23, 2012

Alwida, alwida, alwida ay Hussain!

Yeh sada-e-fughaan, aur yeh majlisain
Matam-o-noha aur gham ki yeh zeenatain
Chahata hai yeh dil yunhi qayam rahain
Aha phat tha hai dil, kiss tarha yeh kahain….
Alwida, alwida….

Meray mehmaan hai aakhri yeh salaam
Tujh pay qurban hai aakhri yeh salaam
Shah-e-Zeeshan hai aakhri yeh salaam
Dil hai veeran hai aakhri yeh salaam….
Alwida…..

Bakhsh day hogayi ho jo khata
Haq-e-khidmat na ham say ada hosaka
Gham yehi hai na jee bhar kay matam kia
Teri khatir na kyun apna sar daydia…
Alwida….

Gar jiye saal bhar phir karaingay yeh gham
Royengay phir teray gham mein milkar baham
Aur agar margaey to yeh hoga alam
Haaey, afsos jee bhar kay roye na ham….
Alwida….

Alwida ay Hussain, ay Hussain alwida
Alwida ay Shah-e-Mashraqain alwida
Binte Ahmed kay ay noor-e-ain alwida
Hai Mujahid kay lab par yeh bayn alwida….
Alwida….

I am on Flickr Instagram You Tube