Thursday, August 2, 2012

Raksha Bandhan -Krish and Khushi

85,545 items / 515,779 views

khushi ties rakhi on the wrist of her brother krish

Rakhi Song Title: Behna Ne Bhai Ki Kalai Se
Movie: Resham Ki Dori
Singer: Suman Kalyanpur

Lyrics:
(Behna ne bhai ki kalaai se
behna ne bhaai ki kalaai se pyaar baandha hai
pyaar ke do taar se, sansaar baandha hai
resham ki dori se -2
resham ki dori se sansaar baandha hai) -2

Sundarta mein jo kanhaiya hai
mamta mein yashoda maiyya hai
vo aur nahi dooja koi
vo to mera raaja bhaiya hai
Behna ne bhai ....

Mera phool hai tu, talvaar hai tu
meri laaj ka pehredaar hai tu
main akeli kahaan is duniya mein
mera saara sansaar hai tu
behna ne bhai ....

Hamein duur bhale kismat kar de
apne man se na juda karna
saavan ke paavan din bhaiya
behna ko yaad kiya karna
behna ne bhai ...

Rakhi Song Title: Bhaiyya Mere Rakhi Ke Bandhan
Movie: Chhoti Behan
Singer: Lata Mangeshkar

Lyrics:
Bhaiyya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana
bhaiyya mere, choti behan ko na bhulana
dekho ye nata nibhana, nibhana
bhaiyaa mere...

Ye din ye tyohaar khushi ka, paavan jaise neer nadi ka
bhai ke ujle maathe pe, behan lagaaye mangal tika
jhume ye saavan suhana, suhana
bhaiyya mere ...

Baandh ke hamne resham dori, tum se vo ummeed hai jodi
naazuk hai jo kaanch ke jaisi, par jeevan bhar jaaye na todi
jaane ye sara zamana, zamana
bhaiyaa mere ...

Shaayad vo saavan bhi aaye, jo behna ka rang na laaye
behan paraye desh basi ho, agar vo tum tak pahunch na paaye
yaad ka deepak jalana, jalana
bhaiyaa mere ...

---------------------------------------------------------------------------------------------------------
Rakhi Song Title: Yeh Raakhi Bandhan Hai Aisa
Movie: Beimaan
Singers: Mukesh, Lata Mangeshkar

Lyrics:
Chorus
(Ye raakhi bandhan hai aisa -3
jaise chanda aur kiran ka
jaisa badari aur pavan ka
jaise dharati aur gagan kaa) -2
ye raakhi bandhan hai aisa -3

Duniya ki jitani bahanen hain
un sabaki shraddha hai isamein
hai dharam karam bhaiya ka ye
bahana ki raksha isamein hai
jaise subhadra aur kishan ka
jaise badari aur pavan ka
jaise dharati aur gagan ka
ye raakhi bandhan ...

m: aaj khushi ke din bhaai ke
bhar-bhar aaye naina -2
kadar bahan ki unase poochho
jinaki nahi hai bahana
mol nahi koi is bandhan ka
jaise badari aur pavan ka v jaise dharati aur gagan ka

ye raakhi bandhan hai aisa -3


---------------------------------------------------------------------------------------------------------

Rakhi Song Title: Rang Birangi Raakhi
Movie: Anpadh
Singer: Lata Mangeshkar

Lyrics:
Rang-birangi raakhi leke aayi bahana
o raakhi bandhava le mere veer - 2

Chorus: Rang-birangi raakhi ... mere veer

Main na chaandi, na sone ke naar maangu -2
apne bhaiya ka thoda sa pyaar maangu
thoda sa pyaar maangu
is raakhi mein pyaar chupa le laayi bahana

Chorus: raakhi bandhwaale mere veer

Neele ambar se taare utaar laau-2
ya main chanda ki kiranon ke haar laau
kiranon ke haar laau
pyaar ke badle ban le leharaai behna

Chorus: raakhi bandhawaale mere veer

Kabhi bhaiya ye behna na paas hogi -2
kahi pardes baithi udaas hogi, behna udaas hogi
milne ki aas hogi
jaane kab bichhad jaayen bhai-behna

Chorus: raakhi bandhawaale mere veer

---------------------------------------------------------------------------------------------------------


Rakhi Song Title: Mere Bhaiyya Mere Chanda
Movie: Kajal
Singer: Asha Bhosle

Lyrics:

Chorus
(Mere bhaiya mere chanda
mere anamol ratan
tere badale main zamaane ki
koi cheez na lu) 2

Teri saanson ki kasam khaake, hava chalti hai
tere chehare ki khalak paake, bahaar aati hai
ek pal bhi meri nazaron se tu jo ojhal ho
har taraf meri nazar tujhko pukaar aati hai

(Chorus) 2

Tere chehare ki mehakti hui ladiyon ke liye
anaginat phool ummeedo ke chune hain maine
vo bhi din aayen ki un khwaabo ke taabeer milen
tere kaatir jo haseen khwaab bune hain mainne

(Chorus) 2


---------------------------------------------------------------------------------------------------------

Rakhi Song Title: Phoolon Ka Taaron Ka
Movie: Hare Rama Hare Krishna
Singer: Kishore Kumar

Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
ek hazaron mein meri behna hai
sari umar hame sang rehna hai

Ye na jaana duniya ne tu hai kyon udaas
teri pyaari aankhon mein pyar ki hai pyaas
aa mere paas aa keh jo kehna hai
ek hazaron mein ...

Jabse meri aankhon se ho gayi tu door
tabse sare jeevan ke sapne hain choor
aankhon mein neend na dil mein chaina hai
ek hazaron mein ...

Dekho hum tum dono hain ek dali ke phool
maein na bhoola tu kaise mujhko gai bhool
aa mere paas aa keh jo kehna hai
ek hazaron mein ...


---------------------------------------------------------------------------------------------------------


Rakhi Song Title: Chanda Re Mere Bhaiyya Se Kehna
Movie: Chambal Ki Kasam
Singer: Lata Mangeshkar

Lyrics:
(Chanda re, mere bhaiyya se kehna,
o mere bhaiyya se kehna, behna yaad kare) -2
o chanda re ...

Kya batalaau kaisa hai vo
bilkul tere jaisa hai vo
tu usko pehchaan hi lega
dekhega to jaan hi lega
tu saare sansaar mein chamke
har basti har gaanv mein damke
kehna ab ghar vaapas aa ja -2
tu hai ghar ka gehna
behna yaad kare

O chanda re...

Raakhi ke dhaage sab laaye
kehna ab na raah dikhaaye
maan ke naam ki kasmein dena
bhent meri ke rasamein dena
poochhana us roothe bhai se
bhool hui kya maan-jaai se
behan paraaya dhan hai kehna
usne sada nahi rehna
bahana yaad kare

O chanda re ...

www.raksha-bandhan.com/raksha-bandhan-songs.html

I am on Flickr Instagram You Tube