Saturday, January 14, 2012

Musalman Patang Banate Hain Asman Main Hindu Unhe Udate Hain

219,849 items / 1,815,593 views

donon mil julkar
ek sath rehkar
bhai bhai bankar
ekta ka sabak
sikhate hain
bharat desh ko
age badate hain
makar sankranti main
hope humanity
patang ke zariye
ye message
pahunchate hai
ek bargad ka ped
uske branches
aur roots
ban jate hain
idd aur diwali
ek dusre ke
seene se
lag jate hain

sirf neta hain
jo do bhaiyon
ka batwara
karate hain
majhab ki ad
main hame
dushman
banate hain
goliyan
chalwate hain
hame apas
main ladwate hain

I am on Flickr Instagram You Tube