Thursday, March 17, 2011

Jab Hijde Par Budhapa Ata Hai

76,148 items / 1,377,218 views

chehre ka nikhar
chala jata hai
tevar badalne
lagte hain
sar par safed
balon ka pahad
chad jata hai
jhuriyan jali
ki tarah
nak naksha
badal jata hai
adab aur
tehzeeb
dahleez par reh
jati hain
baki sab
chut jata hai
lut jata hai
jab kambakht
budhapa
hijde par ata hai
doodh ka doodh
pani ka pani
kar jata hai

I am on Flickr Instagram You Tube