Monday, April 26, 2010

Jab Hijde Ka Budapa Ata Hai

124,624 items / 873,271 views

jab hijde ka
budapa ata hai
doodh ka doodh
pani ka pani
ho jata hai
hijda rat ke
andhere
se ghabrata hai
bagh main
naye hijdon
ko dekhhar
tilmilata hai
patjhad ki aad
main khud ko kosta
reh jata hai
apne lute zevar
ko dekhkar
khayalon
man kho jata hai
woh jawani
ka itrana
woh pyara
hasin manzar
yad ata hai
hijda badkismati
ke takiye
par sar pathak
pathak
ke so jata hai

ek khunkar maut
ka saya jhuriyan
bechaniyan
lekar 'hijde ke darwaze
ko khat khatata hai
jab hijde ka budapa
ata hai
luti hui jawani ki
yad dilata hai
hijda ek bar
nahi
kai bar
mar jata hai

I am on Flickr Instagram You Tube