Sunday, March 8, 2015

Womens International Day At Mumbai Cages Peela House




Aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bajar diya
 Jab jee chaha masla kuchla, jab jee chaaha dutkar diya
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Tultee hai kahee dinaro me, bikatee hai kahee bajaaro me
 Nangee nachvaayee jaatee hai, aiyyasho ke darbaaro me
 Yeh woh beijjat chij hai jo, bant jaatee hai ijjatdaaro me
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Mardo ke liye har julm raavan, aurat ke liye rona bhee khata
 Mardo ke liye laakho seje, aurat ke liye bas ek chita
 Mardo ke liye har aish kaa hak, aurat ke liye jina bhee saja
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Jin hotho ne inako pyaar kiya, unn hotho kaa vyopaar kiya
 Jis kokh me inaka jism dhala, uss kokh kaa karobaar kiya
 Jis tan se uge kopal ban kar, uss tan ko jalilo khar kiya
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Mardo ne banayee jo rasme, unako hak kaa farmaan kaha
 Aurat ke jinda jalane ko, kurbaanee aur balidaan kaha
 Kismat ke badle rotee dee, aur usako bhee ehsaan kaha
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Sansaar kee har ik besharmee, ghurbat kee god me palatee hai
 Chaklo hee me aake rukatee hai, fako me jo raah nikalatee hai
 Mardo kee havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalatee hai
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

 Aurat sansaar kee kismat hai, phir bhee takdir kee hetee hai
 Avtaar payambar janatee hai, phir bhee shaitaan kee betee hai
 Yeh woh badkismat mann hai jo, beto kee sej pe letee hai
 Aurat ne janam diya mardo ko.....

Film Sadhna
Sahir Ludhianvi

I am on Flickr Instagram You Tube