Kaat ker phir baat meri yeh kiya us ne sawal
Kyun madad Hyder se letay ho bajaye Zuljalal
Mein ne kaha apni boseeda kitaben tou khangal
Us mein mil jaye gi tujh ko Jang-e-Khyber ki misaal
Tujh per ho jaye ga sabit behas yeh baykar hey

Naar-e-Hyder lagana Sunnat-e-Sarkar hey
Moun bana ker tilmila ker phir chali us ki zuban
Tu hey Maulai tou Hyder kay fazail ker bayan
Mein ne kaha is qadar bardasht hey tujh mein kahan
Soch ley dil per teray girnay lagen gi bijliyan
Teri sehat kay liye kafi hey yeh gaybi pukar
La Fatah Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar