Monday, July 8, 2013

Sar Par Azab Hai

beta
meri kismet
kharab hai
bhik mang
kar guzara
karti hoon
beta meri
tabiyat
kharab hai
na koie sawal hai
na koie jawab hai
zindagi ka dukh
beta behisab hai
beintiha musibatein
bure waqt ka intiqam hai
har pal har mod zindagi
nakam hai ...har cheez
par mohar hai paise
ka dam hai ..maut
se khatranak,, yeh
zindagi ka nam hai

I am on Flickr Instagram You Tube