Monday, July 29, 2013

Amma yeh hamari badkismati ki tasveer kyon le raha hai


waqt phir
apni jagah
tehra hai
amma
tumhare
burkhe
mai chipa
ansu bhara
chehra hai
zakhm tumhare
seene main
gehra hai
mera gussa
samjhta nahi
kya yeh
badtameez
photographer
ghoonga
aur behra hai
hamari zindagi
ghamzada iski
zindagi ka
panna sunehra hai

I am on Flickr Instagram You Tube