Friday, January 11, 2013

Yeh Lucknow Ki Sarzameen


Ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye rang-roop kaa chaman
ye husn-o-ishq kaa watan
yahi to wo muqaam hai
jahaan Awadh ki shaam hai
jawaan-jawaan haseen-haseen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
shabaab-o-sher kaa ye ghar
ye ahl-e-ilm kaa nagar
hai manzilon ki god mein
yahaan har ek rah-guzar
ye shahar laaladaar hai
yahaan dilon mein pyaar hai
jidhar nazar uthaaiye
bahaar hi bahaar hai
kali-kali hai naazneen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
yahaan ki sab rawaayaten
adab ki shaahkaar hain
ameer ahl-e-dil yahaan
ghareeb jaan-nisaar hain
har ek shaakh par yahaan
hain bulbulon ke chahchahen
gali-gali mein zindagi
kadam-kadam pe kahkahen
har ik nazaaraa hai dilnasheen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen
ye Lucknow ki sarzameen

www.youtube.com/watch?v=_6raLY0d8YY

I am on Flickr Instagram You Tube