Tuesday, December 11, 2012

Irani Chai

woh barish
ka mausam
unka kapta jism
unki bheegi palke
yad dilaye
chai ki
tashtari
ko pakdte
hue unka
komal hath
thartharaye
mujhe dar
tha kahin
chai unke
jism pe chipke
hue kapdon
par no gir jaye
unki muskurat
woh bisri bhuli
yadein bhikraye
cafe sunrise
main suraj
chup jaye
brun maska
yun hi tanhai
main pigal
ta jaye
aj 35 sal
ke bad
irani chai
peete hue
unki yad
phir ghode
ki tarah
mera saya
ban jaye
woh kitne
bacchon
ki ma hai
kya woh mujhe
yad karti hain
jaise main
unhe yad
karta hoon
hai

I am on Flickr Instagram You Tube