mardon ne banaayeen jo rasmein unko haq ka farmaan kahaa aurat ke zinda jalne ko qurbaani aur balidaan kahaa, a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr.
Aurat ne janam diya mardon ko
mardon ne usey baazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla
jab jee chaaha dhutkaar diya
aurat ne janam diya mardon ko
tultee hai kaheen deenaaron mein
bikti hai kaheen baazaaron mein
nangee nachwaayee jaati hai
aiyaashon ke darbaaron mein
ye wo be-izzat cheez hai jo
bant jaati hai izzatdaaron mein
aurat ne janam diya mardon ko
mardon ke liye har zulm rawaan
aurat ke liye ronaa bhi khataa
mardon ke liye laakhon sejein
aurat ke liye bas ek chitaa
mardon ke liye har aish ka haq
aurat ke liye jeena bhi sazaa
aurat ne janam diya mardon ko
jin honthon ne inko pyaar kiya
un honthon ka vyopaar kiya
jis kokh mein inka jism dhalaa
us kokh ka kaarobaar kiya
jis tan se ugey konpal ban kar
us tan ko jaleelo khaar kiya
aurat ne janam diya mardon ko
mardon ne banaayeen jo rasmein
unko haq ka farmaan kahaa
aurat ke zinda jalne ko
qurbaani aur balidaan kahaa
ismat ke badley roti di
aur usko bhi ehsaan kahaa
aurat ne janam diya mardon ko
sansaar ki har ek besharmi
gurbat ki god mein palti hai
chaklon hi mein aakar rukti hai
phaakon se jo raah nikalti hai
mardon ki hawas hai jo aksar
aurat ke paap mein dhalti hai
aurat ne janam diya mardon ko
aurat sansaar ki kismat hai
phir bhi taqdeer ki heti hai
awtaar payambar janti hai
phir bhi shaitaan ki beti hai
ye wo badkismat maa hai jo
beton ki sej pe leti hai
aurat ne janam diya mardon ko
mardon ne usey baazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla
jab jee chaaha dhutkaar diya
aurat ne janam diya mardon ko
atulsongaday.me/2011/03/08/aurat-ne-janam-diyaa-mardon-ko/