Wednesday, September 5, 2012

Sari duniya ke liye gham ki fiza aam kare Kya khabar tum na raho Kyakhabar ham na rahe Ao ek kaam kare, karbala aam kare

Sari duniya ke liye gham ki fiza aam kare Kya khabar tum na raho Kya khabar ham na rahe Ao ek kaam kare, karbala aam kare by firoze shakir photographerno1
Sari duniya ke liye gham ki fiza aam kare Kya khabar tum na raho Kya khabar ham na rahe Ao ek kaam kare, karbala aam kare, a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr.


Aao ek kaam kare
(Ay mere desh-e ke logo meri awaaz suno. Meri awaaz-e me maktal ka ye aghaaz suno) x2 (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Jis tarha saniye zehra ne ise kaam kiya. Ik-e zanjir-e ki jankar ne wo kaam kiya. Jis tarha shohada ne safar-e sham kiya. Yani nezo se bulandor bhi islam kiya. Ham isi tarz-e kayadat ki ada aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Ye jo majlis he madawa hay har ik-e gham ke liye. ek sawghat he ye didaye purnam ke liye. Soze dil chariya teziz-e muharram ke liye. Koyi tafreeq-e nahi haq ka ye matam ke liye. Rone walo ke liye farsh-e aza aam kare (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Ao dekho ke ye khayma ye alam kiska hai. Khoon se naam ye sehra pe rakam kiska hai. Ab bhi tarik se aghe ye kadam kiska hai. Sari duniya ko batadenge ye gham kiska hai. Sari duniya ke liye gham ki fiza aam kare (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Tum bhi sine me ye gham leke chalo ham bhi chale. Tum bhi inkar-e sitam leke chalo ham bhi chale. Tum bhi hak ka ye hasham leke chalo ham bhi chale. Tum bhi ghazi ka alam leke chalo ham bhi chale. Har zamane ke liye zikre wafaa aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Aisa ay jaaz to tarik-e ne dekha na suna. Jo diya noor ke hato shabe ashur buja. Sab shahido ke dilo me wo diya jake jala. Aj bhi roshni deta hai wohi ek diya. Har andhere me wohi ek diya aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Pas shabbir ke apne bhi he afghaar bhi hai. Khandan-e bani hashim bhi hai ansar bhi hai. Hur bhi hai john bhi hai akbare jarrar bhi hai. Jane dene ke liye subho se tayyar bhi hai. Aise maktal ki fizaa ko ba khuda aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Kafela rehgaya ik dashte bala me pyasa. Jinki miras thi kausar unhe pani na mila. Ye sabile unhe pyaso se wafaa he ba khuda. Koi pyaasa na rahe thi sakina ki dua. Har zamin par ye sakina ki dua aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Rehnumaa katle huwa katle kayadat na hui. Ik imam or bara khatm-e imamat na hui. Jisme rondhe gaye pamal shariat na hui. Chadare chin gayi batil ki hukumat na hui. Ye muhammad ke garano ki wafaa aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
  1. Mere mawla mere aka ye tera gham na ruke. Kitne tufaan bhi hilalaaye magar ham na ruke. Ay azadar ye majlis ye muharram na ruke. Wakt-e kitna hi badal jaye ye matam na ruke. Ye shahido ka he matam ba khuda aam kare. (Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
(Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2

I am on Flickr Instagram You Tube