Tu jahan aaya hai, Wo tera ghar nahi gaanv nahi Gali nahi kucha nahi, Rasta nahi basti nahi, a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr.
Tu jahan aaya hai, Wo tera ghar nahi gaanv nahi
Gali nahi kucha nahi, Rasta nahi basti nahi
Duniya hai, aur pyare, Duniya ye ek circus hai
Aur is circus mein, Bade ko bhi chhote ko bhi
Khare ko bhi khote ko bhi, Mote ko bhi patle ko bhi
Neeche se upar ko, upar se neeche ko
aana jana padta hai
Aur ring master ke kode par
koda jo bhook hai, Koda jo paisa hai
Koda jo kismat hai
Tarah tarah naach kar, Dikhana yahan padta hai
Baar baar rona aur gaana Yahan padta hai
Hero se hero se joker ban jana padta hai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai
Girne se darta hai kyun, marne se darta hai kyun
Thokar tu tak jab na khayega
Paas kisi gham ko na jab tak tu bulayega
Zindagi hai cheez kya nahi jaan payega
Rota hua aaya hai rota chala jayega
Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai
Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai
Kya hai karishma kaisa khilwad hai
Jaanwar aadmi se zyada wafadaar hai
Khata hai koda bhi rehta hai bhookha bhi
Fir bhi wo maalik par karta nahi vaar hai
Aur insaan ye maal jiska khata hai
pyar jisse pata hai geet jiske gaata hai
Usi ke hi seene mein bhokta kataar hai
maal jiska khata hai
pyar jisse pata hai geet jiske gaata hai
Usi ke hi seene mein bhokta kataar hai
Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai
Haan baabu ye circus
Aur ye circus hai show teen ghante ka
Pehla ghanta bachpan hai dusra jawani hai
Teesra budhapa hai
Aur uske baad maa nahi baap nahi
Beta nahi beti nahi tu nahi main nahi
Ye nahi wo nahi kuchh bhi nahi rehta hai
Rehta hai jo kuchh wo khali khali kursiyan hain
Khali khali tambu hai khali khali ghera hai
Bina chidiya ka basera hai na tera hai na mera hai
This superhit song is from a blockbuster film of Raj Kapoor ‘Mera Naam Joker’. The film was released in 1970 and it took six year to complete the film. Singer of this song Manna Dey got the filmfare award for giving his melodious voice.