Monday, July 30, 2012

zakhm paayen hain bahaaron ki tamannaa ki thi

Song-Maine chaand aur sitaaron ki tamaana ki thi (Chandrakaanta) (1956) Singers-Rafi, Lyrics-Sahir Ludhianvi, MD-N Datta
Lyrics
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa

main wo naghmaa hoon jise pyaar ki mahfil na mili

wo musaafir hoon jise koyi bhi manzil na mili
wo musaafir hoon jise koyi bhi manzil na mili
zakhm paayen hain bahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
kisi gesu kisi aanchal kaa sahaaraa bhi nahin

raaste mein koyi dhundhlaa saa sitaaraa bhi nahin

meri nazron ne nazaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
meri raahon se judaa ho gayin raahen unki

aaj badli nazar aati hain nigaahen unki
aaj badli nazar aati hain nigaahen unki
jinse is dil ne sahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
pyaar maangaa to sisakte huye armaan mile

chain chaahaa to umadte huye toofaan mile

doobte dil ne kinaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

lyrics courtesy

atulsongaday.me/2009/10/14/maine-chaand-aur-sitaaron-ki-t...

I am on Flickr Instagram You Tube