Monday, June 4, 2012

Shah-e-Mardan Sher-e-Yazdan Quwat-e-Parwardigar Lafata Ila Ali La Saif Ila Zulfiqar




kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaaNp jaataa hai
Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaaNp jaataa ha




baGhair hubb-e-Ali mudd’aa nahiiN miltaa
ibaadatoN kaa bhii hargiz silaa nahiiN miltaa
Khudaa ke bandoN suno Ghaur se Khudaa kii qasam
jise Ali nahiiN milte use Khudaa nahiiN miltaa



diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii
hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii
gul-e-tathiir Ali
haq kii shamshiir Ali
piiroN ke piir Ali

dast-e-ilaa kyuuN na ho sher-e-Khudaa Ali
maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali
jis tarah ek zaat-e-Muhammad hai be-misaal
paidaa hu’aa na hogaa ko’ii duusraa Ali
“Bedam” yahii to paaNch haiN maqsuud-e-qaaynaat
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali

Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali

I am on Flickr Instagram You Tube