Thursday, June 28, 2012

saahas samiya

saahas means strength..

Tuhi hamari aankh ka tara rahe
Tera hi chera sada pyare rahe
Tuhi hi hamari zindagi ki aas hey
Tuh he toh sab cheez hamare paas hai
Tuh he hamari zindagi ki pyaas hai
Tuhi hamari zindagi ki saas hai
Teri zindagi khuda ke haath hai
Hum sab ki duaein tere sath hain
Tuh jaldi se theek ho ja khuda se faryaad hai
Tuhi hamari zindagi ki muskrahat hai
Tere aansu mein ham samaye hain..
Tere dard mein chipi hamari aahen hain
Samiya tuh hamari jaan hain..
Khuda ki amanat tuh hamri shaan hai
Tuh hamare ghar aaie wo uska ehsaan hai
Tere siskiyon mein teri taakat ki pehchaan hai
Tuhi hamari aank ka tara rahe
Tuhi hamare budhape ke sahara rahe

I am on Flickr Instagram You Tube