Monday, March 12, 2012

tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai

tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko

mere dil ki mere jazbaat ki keemat kyaa hai
uljhe uljhe se khayaalaat ki keemat kyaa hai
maine kyon pyaar kiyaa tumne na kyon pyaar kiya
in pareshaan sawaalaat ki keemat kyaa hai
tum jo yeh bhi na .... to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko

M: zindagi sirf mohabbat nahin kuchh aur bhi hai
zulf rukhsaar ki jannat nahin kuchh aur bhi hai
bhookh aur pyaas ki maari hui is duniya mein
ishq hi ek haqeeqat nahin kuchh aur bhi hai
tum agar aankh churaao to yeh haq hai tum ko
main tum se hi nahin sab se mohabbat kee hai
tum agar aankh churaao to yeh haq hai tum ko

F: tum ko duniya ke gham-o-dard se fursat na sahi
sab se ulfat sahi mujhse hi mohabbat na sahi
main tumhaari hoon yehi mere liya kya kam hai
tum mere ho ke raho yeh meri kismat na sahi
aur bhi dil ko jalaao to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko


Film: Didi (1959)
Singers: Sudha Malhotra, Mukesh
Music Director: Narayan Datta (a source on youtube says this was "tuned by Sudha Malhotra")
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Shubha Khote, Sunil Dutt, Om Prakash

I am on Flickr Instagram You Tube