khudahafiz hai ruqsat ki ghadi
ay karbala walon khudahafiz
salaame aakhri ay karbala walon khudahafiz
na hum se ho saka kuch bhi ada haq mezbani ka
hai ye sharmindagi
ay karbala walon khudahafiz
tumhare saath zehra bhi yahan tashreef laayi thi
ye izzat bhi mili
ay karbala walon khudahafiz
hamare ghar ki raunaq bhi tumhare saath jaati hai
udaasi cha gayi
ay karbala walon khudahafiz
tumhare gham may rote rote mar jaate to acha tha
ye hasrat reh gayi
ay karbala walon khudahafiz
kisi soorat behelta hi nahi dil kaise behlaye
ajab hai bekali
ay karbala walon khudahafiz
phir aglay saal hum yuhin safe matam bichayenge
rahi gar zindagi
ay karbala walon khudahafiz
sachey bhai
I am street photographer a beggar poet .. I shoot misery cavorting with hope I shoot original content. I am Shia Sufi Hindu all in One
Tuesday, November 15, 2011
ay karbala walon khudahafiz
-
Shah-e-Mardan Sher-e-Yazdan Quwat-e-Parwardigar Lafata Ila Ali La Saif Ila Zulfiqar , originally uploaded by firoze shakir photographerno1 ....
-
Dargah of Hazrat Syed Ali Mira Datar Unava Gujrat , a photo by firoze shakir photographerno1 on Flickr. HAZRAT SYED ALI MIRA DATAR'S G...