Monday, March 8, 2010

Woh Jo Darwaza Ke Peeche Rehti Hain

bahar diya jalta hai
ag si lagi rehti hai
unki khamoshi
unki tarah
deewaron se
bhi kuch nahi
kehti hai
chup chap
dil ka dukh
zulm aur sitam
sehti hain
woh jo darwaze
ke peche
rehti hain
mujhe
pehchane se
inkar karti hain
kahin phir se
pyar na ho jaye
woh darti hain
main ek zinda lash
main unko ab
bhi chahta hoon
woh ek dusre shayar
ki kabar
par fatiya padti hain
uski yad ko
woh zinda rakhti hain
uski ruh jo khamakhan
meri ruh main
bhatakti hai

I am on Flickr Instagram You Tube