Phir Saal bhar ke baad Gam-e- Shah Ayega, Zinda jo Rahega wohi ye Gam Manayega, originally uploaded by firoze shakir photographerno1.
"Rahe to Agle Baras Hum hai aur ye gam Phir Hai,
Jo Chal base to ye Apna Salaame Akhir Hai."
Phir Saal bhar ke baad Gam-e- Shah Ayega,
Zinda jo Rahega wohi ye Gam Manayega
Peeto Saro ko saiyade wala chale gaye
Hum bekaso ke gham ka sahara chale gaye
Veeran har makaa huwa maula Chale Gaye.
Alvida Ya Hussain Aye Hussain Alvida
Saal bhar Apni Aakeh bhigoege hum
Dekh kar Behte Pani ko Roege hum
Aye Garibul Watan Aye Hussain Alvida
*Karbobal ke Payase Mehmaan Khuda Hafiz*
*Aye Jaane Nabi Dee ke Sultan Khuda Hafiz*
**
*Ainda Saal phir hum zinda agar Rahege*
* Mazlumiyat pe Hoge Kurbaan Khuda Hafiz*
**
*Har bhool har Khata ko maula Moaaf Karna*
* Mushkil humari karna Asaan Khuda Hafiz*
**
*Jee bhar ke rona paye hum hai Shahe Dee Par*
* Pura huwa na dilka armaan Khuda Hafiz*
**
*Veeran ho rahe hai ab hai Azaa Khane*
* Jaate hai karabala ke mehmaan khuda Hafiz*
**
*Yeh Majlise ye Maatam Aeyge yaad jab bhi*
* Dil me Uthega Ghamka tufan Khuda Hafiz*
courtesy nasir jahan..