Sunday, December 16, 2012

Kal – kal jo gumnaam hai .. kal jo sunsaan hai .. kal jo anjaan hai ..kal jo veeran hai Main to kuch bhi nahi hoon .. Main to kuch bhi nahi

Pyar .. Pyar ik shaks ka bhi agar mil sake to badi cheez hai zindagi ke liye Aadmi ko magar ye bhi milta nahi ye bhi milta nahi.

Soch lo doston is qadr pyar kaise sambhalunga main Main to kuch bhi nahi

Mujhko itni mohabbat mili aapse .. Mujhko itni mohabbat mili aapse .. ye mera hak nahi meri takdeer hai

Aaj itni mohabbat na do doston .. Aaj itni mohabbat na do doston ki mere kal ki khatir na kuch bhi rahe

Izzatain shohratain chahatain ulfatain koi bhi cheez duniya main rahti nahi aaj main hoon jahan kal koi aur tha .. aaj main hoon jahan kal koi aur tha Ye bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha

Dam Madar Malangs of Ajmer

I am on Flickr Instagram You Tube