Thursday, December 18, 2014

Chehlum In Lucknow 2014 - My Kama Matam




I reached Lucknow on 13 December and was staying at my inlaws house at Nakhas.

It is from Nakhas NizamSabs Imambada the juloos or procession begins after a majlis by Maulana Kalbe Jawad Sab.

I was going to cut my head with two daggers one long and the other a short hunters precision knife.

The pictures of my Kama matam was shot by Guddu , Saeed Hussain my relative ..he has been shooting my kama matam every time in Moharam in Lucknow .

This was my second Chehlum in Lucknow and I had a serious leg injury from Mumbai, so I had bandaged my leg..I was barefeet in the winter chill .

The procession moves from Nakhas to Talkatora Karbals about  8 km.. On the way a Hindu high priest from a Hanuman Temple came and spoke kind words asked me if I needed water or something and this is the beauty of our beloved Motherland ,, as humans we are all equal and part of the diverse branches of the same tree.

I cut my head thrice  , and doing my Kama Matam with Baney Bhais Anjuman was gratifying as he warned others not to hold my arms and le me cut myself freely bu only with one dagger .. later on my mother in laws instructions Guddu took away both my daggers and left it with her ,, as I moved on with the procession.

It was a long route and the winter chill , later on my return  I took a cycle ricksha home as the entire stretch is closed to traffic .

My head has already healed ..


Tareekh dey rahi hai yeh awaaz dam ba dam
Dasht-e-sabat-o-Azm hai Dast-e-Bala-o-Gam
Sabr-e-Maseeh wa juraa't suqrat ki qasam

Is rah mea hai sirf ek insaan ka qadam
          Jis kee rago'n mein Aatish-e-Badr-o-Hunain Hai
          Us soorma ka isme girami Hussain Hai


Jo Saheb-e-Mizaj-e-Naboowat tha wo Hussain
Jo waris-e-zameer-e-Risalat tha wo Hussain
Jo Khalwati-e-Shahid-e-Qudrat tha wo Hussain
Jis kaa wojood fakhr-e-mashiat tha wo Hussain
          Sanchay main dhalney key liye Kainaat ko
          Jo tolta tha Nok-e-Mazaa' par hayat ko

Jo Ek nishan-e-Tashna dhani tha wo Hussain
Geeti pey Arsh kee jo nishani tha wo Hussain
Jo Khuld ka Ameer-e-Jawani tha wo Hussain
Jo Ek san-e-jadeed ka bani tha wo Hussain
          Jis ka Lahu Talatum-e-pinhaa'n liye huway
          Har boond mein tha Nooh ka Toofan liye huway


Jo Karwan-e-Azm ka Rehbar tha wo Hussain
Khud Apney khoon kaa jo shanawar tha wo Hussain
Ek Deen-e-Tazaa ka jo payambar tha wo Hussain
Jo Karbala ka dawar-e-Mehshar tha wo Hussain
          Jis kee nazar pey Shewa-e-Haq ka madar tha
          Jo Rooh-e-Inqilab ka parwardigar tha

Ha'n ab bhi jo manara-e-Azmat Hai wo Hussain
Jis kee nigah marg-e-Adawat Hai wo Hussain
Ab bhi jo Mehwa-e-Dars-e-Mohabbat Hai wo Hussain
Aadam kee jo daleel-e-Sharafat hai wo Hussain
          Wahid jo ek namoona hai zibh-e-Azeem Ka
          Allah rey intekhab Khuda-e-Hakeem ka

Ha'n wo Hussain Jis kaa abad Aashna Sabat
Kehta Hai Gaah Gaah Hakeemoo sey bhi yeh baat
Yaney duroon-e-pardaa-e-Sad Rang-e-Kainaat
Ek Karsaz Zehn hai, Ek zee Shaoor zaat
          Sijdoo'n sey khainchta hai jo masjood kee taraf
          Tanhaa jo ek ishara hai maabood kee taraf


Taaqat see shaei ko khaak mein jis ney mila diya
Taqtaa Ullatt key qasr-e-huqoomat ko dha diya
Jis ney hawa mein ruab-e-Imarat Urhaa diya
Thokar sey jis ney afsar-e-Shahi Gira diya
          Is tarha jis sey Zulm Siyah Faam ho gaya
          Lafz-e-yazeed dakhil-e-Dushnam ho gaya


Pani sey teen roz huway jis key lab na tar
Teg-o-Tabr ko sompp diya jis ney ghar ka ghar
Jo mar gaya Zameer kee Izzat key nam par
Zilaat key Aastaan pey Jukaya magar na sar
          Lee jis ney saans rishtey-e-Shahi ko Tor kar
          Jis ney Kalai maut kee rakh dee maroar kar


Har chand ahl-e-joer ney chaha yeh barhaa
Ho jaey mehaw yaad-e-Shaheedaan-e-Karbala
Baqi rahey na naam zameen par Hussain kaa
Laikin Kisi ka zoar Azizo Na Chal saka
          Abbas-e-Namwar key lahu sey dhula huwa
          Ab bhi Hussainiat ka alam hai khula huwa


Yeh subh-e-Inqilab kee jo aaj kal hai zoe
Yeh jo machal rahi hai Saba, Phatt rahi hai poe
Yeh jo Chirag-e-Zulm kee tharaa rahi hai loe
Dar parda yeh Hussain kee Anfaas kee hai roe
          Haq key Chiray huway hain jo yeh Saaz Dosto
          Yeh bhi isee jari kee hai Awaaz Dosto


SIXTAINS SELECTED FROM MARSIA OF JOSH MALIHABA'DI

www.ya-hussain.com/poetry/sixtains.htm

I am on Flickr Instagram You Tube